Pehla Pyaar...

Woh barish ki nanhi boondo sa..
ruk ruk kar barsata tumhara pyaar..
bheego jata hai mere mann ko baar baar..
machal uthata hai dil mera..
tumhae paane ko phir ek baar..
khamosh bhara apna sa ahsaas..
woh uljhe se tumhare jazbaat..
ankahi se kuch baatein..
halke se muskurati tumhari aankhein..
aur woh unme narazgi ka andaaz..
woh kashish.. woh khamosh raat..
woh dil mei uthte sawal..
aur anjane se kuch jawab..
woh dhadkano ka intzaar..
aur tumhare aane ki aas..
kar deti hai majboor mujhae..
tumse karne ko pyaar har baar...
aur aata hai bas ek hi khayal..
yes! you are the one with whom I fall in love again and again..

Song of the moment: Hame tumse pyaar kitna.. ye hum nahi jante.. magar jee nahi sakte tumhare bina...

0 comments: