Yaad aate ho...
Sunday, January 6, 2008 by hope
Jab chand badal mei chup jata hai..
jhilmil taare aasmaa chamkate hai..
aur aankhon mei raat guzarti hai..
tab tum hamae yaad aate ho..
Jab oos ki boond patto ki..
aagosh mei doob jati hai..
aur kali halke se muskurati hai..
tab tum hamae yaad aate ho..
Jab panchi dana chug kar..
apni choonch ladate hai..
aur ek dooje ke pankh sehlate hai..
tab tum hamae yaad aate ho..
Jab barish ki pehli boond..
mitti ki godh mei samati hai..
aur apne pyaar ki khushboo se..
sara jag mehkati hai..
tab tum hamae yaad aate ho..
Jab indra dhanush ke matwale rang..
mere aangan mei shor machate hai..
aur sapno ke pankh lagaye..
hum door gagan mei uad jate hai..
tab tum hamae yaad aate ho..
Song of the moment: Aaye tum yaad mujhae.. gaane lagi har dhadkan.. khushboo layi pawan.. mehka chandan.. *smiles*
jhilmil taare aasmaa chamkate hai..
aur aankhon mei raat guzarti hai..
tab tum hamae yaad aate ho..
Jab oos ki boond patto ki..
aagosh mei doob jati hai..
aur kali halke se muskurati hai..
tab tum hamae yaad aate ho..
Jab panchi dana chug kar..
apni choonch ladate hai..
aur ek dooje ke pankh sehlate hai..
tab tum hamae yaad aate ho..
Jab barish ki pehli boond..
mitti ki godh mei samati hai..
aur apne pyaar ki khushboo se..
sara jag mehkati hai..
tab tum hamae yaad aate ho..
Jab indra dhanush ke matwale rang..
mere aangan mei shor machate hai..
aur sapno ke pankh lagaye..
hum door gagan mei uad jate hai..
tab tum hamae yaad aate ho..
Song of the moment: Aaye tum yaad mujhae.. gaane lagi har dhadkan.. khushboo layi pawan.. mehka chandan.. *smiles*
|



wow...kya baat hai...
itni pure si kavita bahut dino baad padhne ko mili..
the metre is off in most f the lines...but i dont believe in all dat...screw technicalities...dis one rocks.. :)
waow.. nicely written
:)
very delicate and nicely written :-)