Subah Nirali...
Wednesday, July 14, 2010 by hope
Subah subah ki gunguni se dhoop..
aur halki os ki boondon sa ..
barasta tumhara pyaar..
kuch pane ki kashish..
aur doob jane ko bekarar..
woh hansi.. woh madhoshi..
aur dhadkano ki raftaar..
kuch anchui se halchal..
kuch ankahe se baat..
isse pehle ki tum karte..
mohabbat ka izhaar..
yaad aaya mujhae ki..
ghadi nahi karti kisi ka intzaar..
ab kaam pe jao yaar..
:P
Hums: Pehne phoolon ne kirno ke haar.. aisa mausam dekha pehli baar..
aur halki os ki boondon sa ..
barasta tumhara pyaar..
kuch pane ki kashish..
aur doob jane ko bekarar..
woh hansi.. woh madhoshi..
aur dhadkano ki raftaar..
kuch anchui se halchal..
kuch ankahe se baat..
isse pehle ki tum karte..
mohabbat ka izhaar..
yaad aaya mujhae ki..
ghadi nahi karti kisi ka intzaar..
ab kaam pe jao yaar..
:P
Hums: Pehne phoolon ne kirno ke haar.. aisa mausam dekha pehli baar..


